RE:what we are talking about ?
by Hindustani on Apr 11, 2007 04:41 PM
Dangerous enemies are always within. As is the case today i.e. BJP. It is destroying integrity. I ope you will not get annoyed with this. Dhairya se suno aur samjho bandhu. Sentimental mat bano. Aap ne sentimenta hone se ye kyon nahin maana ki hum log English ke ghulam rahe hain. Bandhu main aap se typing ke baare mein nahin keh raha tha. Language ki baat kar raha tha. Main bhi yeh baat maanta hoon ki aaj poori duniya ka trend English language hai. Lekin hum log angrejon ke ghulam reh kar bhi unki language ko apna sakte hain, Magar Mughlon ya Afghaniyon (Ghaznawi) waghira jaise logon ki saza apne yahan paida hue apne hi bhaiyon ko de rahe hain. Theek hai woh log dharm se alag hain to kya hindu dharm mein sab ek hain? Hindu dharm mein warn-sanstha ke aadhar par hum log hindu dharm ke maanne walon par hi kitna zulm karte hain? kabhi ye sab tumhare dil dimagh mein nahin aata ya tum bhi nire brahmin hi ho? Kya hum jinko neech samjhte hain woh manushya aur hindu nahin hain?